Saturday, June 24, 2023

Dil ki Ahimiyat

Aj na jaane yeh kis mod pe le aayi hai zindagi
Jab dil he sukoon mei nhi us rishta ko kyu laayi hai zindagi

Yun toh Dil se har Roz ladh lete hai 
Lekein fir bhi na jaane kal kya dikha jaye yeh zindagi

Ab rishton ki ahimiyat sirf Dil se rishta nibhate hai
Kuch dost toh kuch parivaar bas yahi bahana hai

Fir na jaane kab woh aa jaye is zindagi ko samhalne 
Bas issi umeed pe tika hua mein

Na jaane yeh kis mod pe le ayi hai ae zindagi
Na Dil lagta hai us bin na Ishq kar paayi hai Zindagi

Aisa toh apne Dil ko alfaz mei peroh leta hu
Kuch Kavita kuch kahani k naam mein bhigo leta hu

Pyaar ab na kar pau lekin yaad mei fir ro leta hu
Icchaye toh hazar hai , fir sab aansu mei bhigo leta hu

Sach ko na pehchan pau lekin aj bhi akele mei ro leta hu
Tere bin akela hu na Jane tujhe yaad krke aj bhi in sab k beech akele roo leta hu

Jinke saath chalne ko zammana chahta tha
Woh rishta woh kasme mei bhi nibhana chahta tha

Aj woh tasveer bas yaadon mei reh Gayi hai kahi
Na jaane yeh zindagi kis mod pe le aayi hai hume

Akasar Kaam mei apne aap ko piroh leta hu
Subah hota he zindagi se apne liya muh modh leta hu 

Unki yaadon mei aj bhi sir jhuka k khuli aankho mei unko yaad kr k apna aap ko kho deta hu
Par jab Dil ko zubaan pe laun toh zindagi se Khushi aj bhi kho deta hu

Fir zindagi mei leke aayi koi yeh Khushi
Kuch samaye De paayi
Kuch jala paayi yeh Khushi

Bina kisi se dil lagaye unko yaad kr roo leta hu
Na jaane kis mod pe ae zindagi tujhe kho deta hun

Aisa toh log hazar hai saath
Koi teekhi churi koi hatiyar hai saath 
Aisa rishton mei saara din dimaag se unke saath samaye duboh leta hu
Na jaane ae zindagi fir bhi kyu unki yaad mei apna aap ko kho deta hu 

Kitabon mei woh baat kaha
Teri yaadon mei reh lu itni is Dil ki aukat kaha

Fir dil lagane ko na jaane kyu ab rishton se dur ho leta hu
Har ek modh pe zindagi dukh le aati hai kyunki Teri yaad mei aj tak roo leta hu

Ab fir hasane ko jee krta hai
Tumse Dil ki baat kahane ko jee krta hai
Fir bhi us alfaz ko muh se rok leta hu
Na jaane yeh kis mod pe le ayi hai ae zindagi ki aj fir dil lagane se khud ko rok leta hu

Tum ek kadam saath chalo toh zindagi se tumhe paane k liya sab chodh deta hu 
Mei tum bin aj bhi sooraj bin badal sa akela ho leta hu

Fir bhi na jaane aj fir akela kyu roo leta hu
Tumhare diye us gulab ko kitab mei dekh khud ko kho deta hu

Na jaane ab aur kya layegi ae zindagi
Ab fir raat mei unke baare mei soch k zindagi mei fir se un lamho ki yaadon mein khud ko bhigo leta hu 

- Saksham Arora
Advocate 

No comments:

Post a Comment