Tuesday, July 23, 2024

Ache logo ki ahmiyat

Dedicated to someone who inspired me to write once again by being my Elder Brother  

Duniya mei bohot se log aate hai aur kuch dard chodh jaate hai 
Na jaane aj ki zindagi mein kitne rishton ki ahmiyat ko samajh paate hai 
Koi sehta hai kisi ko satate hain
Fir bhi bina samjhe apne he apno ka dil toh jaate hai 
Us duniya k gande mahol mein ek aap aaye
Zindagi ki ahmiyat samjhai
Kaam ki zarurat sikhai
Bade bhai ki zimmedari uthai 
Aur fir kabhi zindagi mei Bura samaye ki apke sahare humne nahi sahayi 

Monday, January 15, 2024

Dil se Uska

Teri aankhon ki Nami
Teri woh masum si hassi
Tera yun intezar karna 
Teri aankhon mei Mera saara din kho Jana 

Na jane kaha Gaye woh din 
Jis bin na jane is Dil ka kaha kho Jana 
.

Dil Ki Kami

Har waqt akela sa tha mei
Kaam ko zindagi bna,
Zindagi jeene chala sa tha mei

Na jeene ki umeed 
Na zindagi se khushi 

Bas maut ki taiyari 
Aur kisi k yaad mein besud sa tha mei

Dosto se dosti,
Dushmano se Dushmani,
Bas isi raaste par chal raha sa tha mei

Parivaar se doori 
Aur kamane ki majboori 
Is sab mei fassa hua sa tha mei

Na jeene ki umeed 
Na zindagi mein khushi
Bas apne jaane ke intezar mein ruka hua sa tha mei

Ab aadat si thi uski yaadon mein jeene ki
Ab aadat si thi jhuth aur nakli umeed mei chupa rhna ki 
Bas ishwar k sahare jhuka huya sa tha mei
.
Fir zindagi mei aaye tum,
Or zindagi jeene ki chah mein sa tha 
Aur har umeed pe khada sa tha mei 

Na jeena ki umeed 
Na zindagi se khushi 

Ab Teri Khushi mei bas gayi zindagi 
Aur bas tujhe saath rakhne k lakshya se jhuka hua sa hu mei

Ab Maan liya tujhse meri jeena ki chah
Na jaane firse kaha mil gayi umeed se bhari raah
Bas tujh saath zindagi nikalne ki salah

Ab jeene ki umeed 
Aur zindagi mein khushi
Is sab mei doob sa Raha hu mei



Sunday, January 14, 2024

Khamoshi

Teri khamoshi mei bhi pyaar hai
Aj bhi Dil de Chuka woh yaar hai

Kahi khoyi khoyi si raahein hain
Kahi dagmagata is duniya mei login ka ek doosra se vyavhar hai 

Fir ek baar ek umeed se Jaagti hai
Kabhi soti hai kabhi bhagati hai

Kyu na jaane yeh din aj bhi bichde dino ki yaad mei soya hai
Na tab se kisimei yeh us nazar se khoya hai 

Tu bhi bechain hai 
Mei bhi anjaan hu

Tujhse aaram hai
Tujh bin parshan hu

Fir bhi kyu Na jaane yeh Dil us haseen muskurahat ko tarasta hai 
Aj bhi Dil bichda dino ki tasveero mei Hassi se barasta hai 

Na Dil lga paaye kisi se na waada kiya hai
Wapas aa ke dekho yeh Dil ab bhi tumhi ko Diya hai