Kaam ko zindagi bna,
Zindagi jeene chala sa tha mei
Na jeene ki umeed
Na zindagi se khushi
Bas maut ki taiyari
Aur kisi k yaad mein besud sa tha mei
Dosto se dosti,
Dushmano se Dushmani,
Bas isi raaste par chal raha sa tha mei
Parivaar se doori
Aur kamane ki majboori
Is sab mei fassa hua sa tha mei
Na jeene ki umeed
Na zindagi mein khushi
Bas apne jaane ke intezar mein ruka hua sa tha mei
Ab aadat si thi uski yaadon mein jeene ki
Ab aadat si thi jhuth aur nakli umeed mei chupa rhna ki
Bas ishwar k sahare jhuka huya sa tha mei
.
Fir zindagi mei aaye tum,
Or zindagi jeene ki chah mein sa tha
Aur har umeed pe khada sa tha mei
Na jeena ki umeed
Na zindagi se khushi
Ab Teri Khushi mei bas gayi zindagi
Aur bas tujhe saath rakhne k lakshya se jhuka hua sa hu mei
Ab Maan liya tujhse meri jeena ki chah
Na jaane firse kaha mil gayi umeed se bhari raah
Bas tujh saath zindagi nikalne ki salah
No comments:
Post a Comment