Ek ajnabee si mili thi raste par,
par us ek nazar ne saansen rok di thi.
Kaam se aayi thi woh,
par dil ke darwaze par apni dhadkan rakh gayi thi.
Us pal se lekar aaj tak,
na nazar badli, na faisla.
Pehli nazar ka pyaar tha—
jo aaj bhi meri rooh ka saaya ban kar saath chalta hai.
Waqt ke saath hum badle,
raaste badle,
par wo ehsaas… kabhi nahi badla.
Dil ne uss shaks ko is tarah thaama,
jaise rab ne ek hi rooh ke do tukde bana kar bheje hon.
Fir ek din khamoshi beech me aa baithi,
8 saal ka lamba sannata.
Par ajeeb baat ye hai—
ye khamoshi dard bhi deti hai,
aur muskurane ki wajah bhi ban jaati hai…
kyunki yaadon ka noor ab bhi utna hi roshan hai.
**True love ka matlab shayad yehi hota hai—
jo reh na paye, par dil se jaa bhi na paye.
Jo waqt ke saath dhundhla nahi hota,
balki umron tak dua
No comments:
Post a Comment