Thursday, November 24, 2022

Evolution of time

Evolution of time
Ye vo zamaana nahi...
Ab vo nazrana nahi...
Ab na koi baatein rahi ...
Na ab waisa Yaarana kahi...
Ye vo zamaana nahi...
Jisme waisa nazaraana nahi...
Akar mein sochta hun ye kya hua hai...
Duniya insaniyat ko bhul gayi ya ye koi nai dawaa hai...
Ab to logo k paas bitane ko waqt bhi nahi...
Ye vo zamaana nahi...
Na isme waisa nazaraana kahi...
Apne bhi ab dur ho gaye...
Na jaane kis cheez mein hum sab majboor ho gaye...
Na zameen pe pair hain na hawa pe aankhein...
Fir bhi ye saare rishta kitna majboor ho gaye...
Issi liya bhi to Ye vo zamaana nahi...
Jisme pehle jaisa nazaraana nahi...
Insaan insaan ka dushman ho gaya...
Jaanwar insaan se kahi majboor ho gaya...
Ab to wafadari, pyaar Aur dosti ki misal bhi Jaanwar ki ho gaye...
Na jaane Kaha gum vo heer ranjha Aur krishan kanhaiya ka zamaana kho gaya...
Ab to Bhagat Singh jaisa soorme ko bhi sharam Aa jati hogi ki Uske peecha se ye Kaisa zamaana kho gaya...
Ye vo zamaana he nahi...
Jisme waisa nazaraana bhi nahi...
Raat bhar mein ye sochta hun...
Akela rehta hun issi liya ab kam rota hun...
Jab dil se koi naya rishta jodh lun fir ye sochta hun...
Ki na jaane Kal kya ho ye mein ab Kaha keh sakta hun...
Aj mein he jee lo zindagi yaaro...
Kal tak na jaane zindagi kya modh dhikha de...
Issi liya mein aksar ye kehta hun
Ye vo zamaana nahi...
Na he isme wo nazaraana kahi
Aj har insaan pyaar chahta hai...
Kuch bol to nahi pata fir bhi beshumaar chahta hai...
Kahi rona bhi chahe to ek saccha yaar chahta hai...
Fir bhi na jaane kyun vo is baat ko apne zehen mein kyun bitha nahi pata hai...
Aajao ab is nakli makothe ko todh de hum...
Aa jao asal zindagi mein ho.jaye kahi gum...
Aao mil k dil ki baat kehna nikle him
Taaki fir koi shayari ye na keh paaya ki.na jaane ye zamaana Kaha ho gaya tha gum...
Tabhi se vo zamaana wahi...
Jisme aisa nazaraana kahin...

No comments:

Post a Comment