Kaam tha chhota sa, par likh diya Rab ne rishta umar bhar.
Client ban kar aaya, dost banke thahar gaya,
Phir yu hi waqt ke saath saath ghar ka hissa ban gaya.
Case se shuru hua safar, par faisla kuch aur hi tha—
Hum dono ka likha hua nasib, ek hi raasta tha.
Dheere dheere woh saaya ban gaya,
Aur main uski parchhayi ho gaya—
Do shareer the par ek hi rooh ka ghar ho gaya.
Kadam saath chale, sapne saath sawarne lage,
Do parivaar ek hone lage,
Aur dil se bade bhai ka pyaar ujagar hone laga.
Uski godh mein sir rakh kar aaj bhi sukoon milta hai,
Uska saath mere har tootay hue pal ko jod deta hai.
Yeh rishta kagaz se nahi, kismet se likha gaya—
Jahan pyaar ka har ehsaas “Bawa” ke naam se saj gaya.
Aaj uske janamdin par bas itna kehna hai—
Rab ko shukr hai ki usne mujhe woh insaan diya,
No comments:
Post a Comment