Woh pehle sirf mila tha,
Par baad mein samajh aaya—
Kuch log milne nahi, zindagi badalne aate hain.
Woh dost bana, phir bhai, phir saarthi,
Aur aaj meri rooh ka woh hissa hai jo kabhi alag nahi hota.
Kaam ka safar ho ya zindagi ka,
Hum dono ek hi dhadkan ke do matangon jaisa—
Do jism, par ek hi jaan ka safar likha gaya.
Woh mere iraadon ka hausla,
Mere gusse ka thehraav,
Mere dard ka marham,
Mere sapnon ka sath ban gaya.
Na khoon ka na naam ka rishta—
Bas rab ne duaon ke beech ek naya parivaar likh diya.
Aaj Uske ke naam ek dua nikalti hai dil se
Ki saath humara kabhi toot na paye,
Safar hamara kabhi ruk na jaye,
Aur hum dono ke kadam hamesha ek hi manzil ki taraf badhte rahe.
Tu sirf bhai nahi,
Meri zindagi ki sabse sachchi dua hai. 🔱
No comments:
Post a Comment